Mein Nara-e-Mastana

**
[quote]
**


Mein Nara-e-Mastana Mein Shokhi-e-Rindana
Mein Tashna Kahan Jaaon Pee Kar Bhi Kahan Jana

Mein Souz-e-Mohabbat Hoon Mein Aik Qayamat Hoon
Mein Ashk-e-Nadaamat Hoon Mein Gauhar-e-Yakdana

Mein Shamm-e-Farozan Hoon Mein Aatish-e-Larza'n Hoon
Mein Sozish-e-Hijraan Hoon Mein Manzil-e-Parwana

Mein Husn-e-Mujassim Hoon Mein Gesu-e-Barham Hoon
Mein Phool Hoon Shabnam Hoon Mein Jalwa-e-Janana

Mein Wasif-e-Bismil Hoon Mein Ronaq-e-Mehfil Hoon
Ik Toota Hua Dil Hoon Mein Shehr Mein Veerana

Mein Nara-e-Mastana Mein Shokhi-e-Rindana
Mein Tashna Kahan Jaaon Pee Kar Bhi Kahan Jana


**
[/quote]
**


kuchh typo kii taraf nazr-e-saanii kar leN...shukria: maiN ne red font se tasHeH kar dii hai.