[QUOTE] Originally posted by *Masoom Muskaan: *
pehle kaha nahi tha ke chaha na kar mujhe
ab ghar ke aaiene se to pocha na kar mujhe
kab tak bunay ga zehan main lafzon ke daire
main masla nahi houn to socha na kar mujhe
saye gali main jagte rehte hain raat bhar
tanhaieyon ki out se jhanka na kar mujhe
phaile gi taire hath ki khushbo bhi uske sath
pagal hawa ke doush par likha na kar mujhe
aisa na ho ke tujh se bichar jaon main Saleem
tanha kisi mouqam par chora na kar mujhe
[/QUOTE]
hum aqal kay saat ankhon kay bhi andhay hi rahay, warna mathay par lekha naam to pharr hi laytay khair .... Saleem jee kia muskaan paii hay ......... kia kehnay .... subhanallah
[baaher baarish ho rahi hay ..... aisay hi kisi poetry ko hona chahiay tha ...
situm zareefi daikhain
Azad: baarish ho rahi hay bhaignay chalain
Woh: just wanted to tell you that i am not comming baraish hoo rahee hai sigh*
kia bora tha marna aghar aik baat hota]