**Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
Mein baatein bhool bhi jaun to lehjay yaad rakhta hon
Sar-E-mehfil nigahein mjh pe jin logon ki parti hein
Nigahon k maani sy wo chhray yaad rakhta hon
Zara sa hut k chalta hon zamany ki riwayat sy
K jin pe boajh mein dalun, wo kandhay yaad rakhta hon
Main yun to bhool jata hn, kharashain talkh baaton ki
Magar jo zakhm gehray dein, ravayye yaad rakhta hon…!!!**
LP
2
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
kuch qualities achi hain in sahab mai..aur kuch nahi 
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
Konsi nhi hyn…?
LP
4
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
ye wali
Magar jo zakhm gehray dein, ravayye yaad rakhta hon...!!!
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
…
Ary Baba…ye is terhan nhi hy…:no:
Sha`ir ny rawaiya is liya yaad rakhny ka kaha hy k…
Wo khud kisi k saath aysa rawaiya ikhtiyaar na karay…Jis sy logon ko Aziyat Ponhchay…
LP
6
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
are you sure ? :hmmm;
aapne sha-er se poocha kya ?
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
are you sure ? :hmmm;
aapne sha-er se poocha kya ?
Yes..........i m
Aap Shair Dobar PaRhyn...............:p
Agar Sha`ir ny us Misray mein Us Shaks k bary mein kuch nhi kaha..........Jis ny Dil Kharash baatyn ki...........:)
LP
8
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
maybe 
or maybe aap positive sochte hain :hehe;
Re: Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hon
