Khushboo hai woh to choo ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere wajood ke andar utar na jaaye
khud phool ne bhi hont kiye apne neem-va
chori tamaam rung ki, titlee ke sar na jaaye
aisa na ho keh lams badan ki saza baney
jee phool ka, hawa ki mohabbat se bhar na jaaye
is khauf se woh saath nibhaaney ke haq mein hai
kho kar mujhe, yeh larki kahin dukh se mar na jaaye
shiddat ki nafraton mein sada jis ne saans lee
shiddat ka pyar paa ke khalaa mein bikhar na jaaye
os waqt tuk kinaaro se naddi charhee rahey
jab tuk samandron ke badan mein utar na jaaye
palko ko oski, apne dopattey se poonch doon
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye
Mein kis ke haath bhejoo osey aaj ki dua
Qaasid, Hawa, Sitara, koi oske ghar na jaaye