Aik shaair hun musavir hun fankaar b hun.
Gar hun nazuk sa koi phool, to talwaar b hun.
Main ne boee hy hr ek mor pe nafrat.
Main mohabt k gulistan ka kharidaar b hun.
Main wo ghuncha hun jise dekhny se taskin mily.
Sb ki ankho mein chubay jo wo khaar b hun.
Hoo agr dost ghalat to main use rokta hun.
Haq pe dushman ho to dushman ka tarafdaar b hun.
Main wo ghafil hun jise umr ka ehsaas nai.
Aik ek pal ki khabr rakhta hun bidaar b hun.
Itna azaad k akaash ko chhu sakta hun.
Aik choti c tamana mein girftaar b hun.
Mera andaaz.e.Tabiyat b niraala hy Logo.
Bewafa b hun or bohut wafadaar b hun..