http://i55.tinypic.com/2w53s5f.gif
Ek chehra jo mere khwaab saja deta hai
Mujh ko mere hi khayaloon mein sada deta hai
Woh mera kaun hai maloom nahe lekin
Jab bhi milta hai tau pehlu mein jagah deta hai
Mein jo toot ke bikhroon tau wohi mujh ko
Chun’ne ke leye haath barha deta hai
Mein jo tanha kabhi chupke se bhi rona chaahon
Dil ke darwazay ki zanjeer hila deta hai
Us ki qurbat mein hai kya baat najaanay
Ek lamhay ke leye sadeyoon ko bhula deta hai …