***Mein dushman ko bhi mohabat se mana laita hoon
Dair tak mein kabhi jaghra nahin rehney daita
Mein to insaan tha emaan bachata kaisey
Wo farishton ko farishta nahin rehney daita
Mehfilon mein mujhe rakhta hai wo tanha tanha
Aur tanhai mein tanha nahin rehney daita
Zehan ko meray, meray dil ko meri ankhon ko
Wo sitam-gar kabhi yakja nahin rehnay daita***