Mein bhool jaun ab yehi munaasib hai
magar bhoolana bhi chaahuun to kis tarah bhuuluun
kay tum to phir bhi haqiqat ho koi Khwaab nahin
yahan to dil kaa ye aalam hai kyaa kahuun
kamabakht
bhula saka na ye silsilaa joh thaa hee nahin
woh eik khayaal
joh awaz tak gaya hee nahin
woh eik baat
jo mein kah nahin sakaa tum se
woh ek rabt
woh hum mein kabhi raha hee nahin
mujhe hai yaad woh sub
jo kabhi huaa hee nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samajhae
** tumhein bhulana bhi chaahuun to kis tarah bhuuluun
kay tum to phir bhi haqiqat ho koi Khwaab nahin**