**
mein nay aksar
dil par dard ko samjhaya hai
baaz rakha hai kah
har cheez chamaknay wali
koi sona tou nahi ho sakti
aur jawabaN lab-e-khaamosh sey
dil nay mujh ko
yeh duaa di kah
Khuda tujh ko ruswa karday
manzil-e-ishq ki jaanib ek din
gaamazan karday tu
sahra sahra
apni khuddari ko dhunda karna
aur jo rait ki deewar uthai hai sar-e-dasht-e-wafaa
apnay naakhun sey giraya karna
**
nice one Dania :k:
Thanx for sharin’ :~)
Zabardust :)
Great
That is simply great....
Dill agar itni jaldee man jata to kiya hee baat thee... Dill say dushmani achi nahi hootee.... Dekh liya na?
:k: ![]()
[QUOTE]
.sahra sahra
apni khuddari ko dhunda karna
aur jo rait ki deewar uthai hai sar-e-dasht-e-wafaa
apnay naakhun sey giraya karna
.
[/QUOTE]
daman e dil ko bicha kar us pe kanTon ki fasal uga kar
aay dhaRkan, tu her dhaRkan ki dhaRkan par baytab na kar
yeh dunia ho ya woh dunia, ishq ke safar main rehna
aay mazil, tu her manzil ki manzil par hisaab na kar
Adab