Mein aksar maa say

Mein aksar maa say kehta
maa
dua karna
k kabhi tera yeh beta
khaaki wardi pehnay
seeney pe tamghay sajaye
mujaahidon ka sa noor liye
tere samnay fakhr say khara ho
aur meri maa
meri maa yeh sun kar
hans diya krti the
kabhi jo tumhein meri maa milay to us say kehna
woh ab bhi hansti raha karay
K shaheedon ki maein roya nahi kartien
Mein aksar maa se kehta tha
us din ka intzaar karna
jab dharti tere betay ko pukarey ge
aur in azeem parbaton key darmiyan behtey
ashu k darya ka neela paani
or Swat ki galiyon mein baarish k katron ki tarhan girti
rooshni ki kirnain pukaarein ge
aur phir us din k baad
mera intzaar na karna
key khaaki wardi mein janey walay aksar
Sabz Halaali mein loot kr aatey hain
Magar meri maa
aaj bhi mera intzaar krti hay
ghar ki chookhat pe bethi lamhay ginti rehti hay
meray liye khana dhakk rakhti hai
Kabhi jo tumhein meri maa milay
to us say kehna
woh ghar ki chookhat pay beth kar
mera intzaar na kia karay
khaaki wardi mein janay walay
loot kr kab aatey hain
Mein aksar maa say kehta tha
yaad rakhna
is dharti k seenay pay
meri behnon k aanso giray thay
mujhy woh aanso unhein lootaney hain
meray saathiyon k sar kaatey gaye thay
aur un ka lahu Pak miti ko surkh kr gaya tha
mujhay miti mein milanay waly
us lahu ka qarz utaarna hay
Aur meri maa yeh sun kar
num aankhon say
muskura diya krti the
Kabhi jo tumhein meri maa milay
to us say kehna
us k betay nay lahu ka qarz chuka dia tha
aur
dharti ki betiyon k aanso chun liye thay
mein aksar maa say kehta tha
mera wada mat bhulana
k jang key is maidaan mein
Insaaniyat k dushman darindon kay muqabil
yeh bahadur beta peeth nahi dikhaye ga
aur saari gooliyan
seenay pay khaye ga
aur meri maa yeh sun kar
tarap jaya karti the
kabhi jo tumhein meri maa milay
to us say kehna
us ka beta buzdil nahi tha
us nay peeth nahi dikhai the
aur saari gooliyan seenay pay khaein the
mein aksar maa say kehta tha
tum foojiyon say mohabat kyun krti ho?
hum foojiyon say mohabat na kia kro Maa
hamarey janazay hamesha jawan uthtay hain
aur meri maa
meri maa yeh sun kar
roo diya karti thi
kabhi jo tumhein meri maa milay
to us say kehna
woh foojiyon say mohabbat na kia karay
aur
darwazay ki chookhat per beth kar
mera intzaar na kia karay
Suno
tum meri maa say kehna
woh rooya na karay

Re: Mein aksar maa say

Very touching. :k:

Re: Mein aksar maa say

nice :teary2:

Re: Mein aksar maa say

:( Touching and Deep :(