Mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil

Jab huaa irfaaN tou gham aaraam-e-jaaN bantaa gayaa
soaz-e-jaanaN dil mein soaz-e-deegaraaN bantaa gayaa

rafta rafta munqalib hoti gayi rasm-e-chaman
dheere dheere naghma-e-dil bhi fughaaN bantaa gayaa

mein tou jab manooN key bhar dey saaghar-e-har khaas-o-aam
yooN tou jou aayaa wohi peer-e-mughaaN bantaa gayaa

mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
loag saath aatey gaye aur karvaaN bantaa gayaa

jis taraf bhi chal paRey hum aabla paayaan-e-shouq
khaar sey gul aur gul sey gulistaaN bantaa gayaa

sharah-e-gham tou mukhtasir hoti gayi unn key huzoor
lafz jou munh sey naa niklaa dastaaN bantaa gayaa

dehr mein majrooh koi jaavedaaN mazmuN kahaaN
mein jisey choota gayaa woh jaavedaaN bantaa gayaa

Poet: Majrooh sultanpuri

Re: Mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil

mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
loag saath aatey gaye aur karvaaN bantaa gayaa

karimabad ki deewaren nazron ke samne guzar gai... background main Imran Khan ki bhi kafi toseef o tareef likhi hui milti hai unn deewaron per :p

Re: Mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil

^^ hahaha yeh tou special shair hai ;)

Re: Mein akela hi chalaa thaa jaanib-e-manzil

qatrey qatrey se derya banata hai … ek ek chips se pora packet banta hai lays ka :yummy:

App ko kaheen akela nahi choraaa :vivo: