mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay.

mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay
yeh mutt bhool keh aaj hum bhi haiN aanay waalay

               sadiyouN ka faasla lamhouN meiN tai ho jaata
               dil mila laytay agar haath milanay walay

               mar kay ji uTh-ta hai jo apni ulfat ki khatir
               kahaaN hai aisay aaj shama pay marnay walay

               badnaam hi sahi hum tu teray sanam hardam
               lay aa'ou jitnay bhi haiN ilzaam laganay walay

               mohabbat meiN Munir  khud gulzaar ho ja'eNgay
               bichhaalay kaantay meri rahouN meiN bichhanay walay

Wah ji Wah bahut khoob!
munir is it yours??

Lamhay g nahe
Rizwan dost saheb ke poetry hae
:)

[QUOTE]
*Originally posted by Munir: *
Lamhay g nahe
Rizwan dost saheb ke poetry hae
:)
[/QUOTE]

Shukar hai sach bata diya, warna ......... :p

Re: mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay.

[QUOTE]
Originally posted by Munir: *
mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay
yeh mutt bhool keh aaj **Munir Bhai
* haiN aanay waalay

[/QUOTE]

Wah ji wah, pyar ho tu aisa.... Munir bhai ka apne pyar ka izhaar Lamhay behen ke naam !!!

keep it up:k:

Buhat Khoob :k:

bhut khoob :k:

Re: Re: mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay.

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Wah ji wah, pyar ho tu aisa.... Munir bhai ka apne pyar ka izhaar Lamhay behen ke naam !!!
[/QUOTE]

pyar ka izhaar choti behen kay liye !!

Arif pls and munir bhai pls ap bhi!

khair

"Mujhko na koe ghum na khushi hai teray baghair
Bus ghum to yeh hai khud se juda ho gaya hoon main

               Bus yeh dua hai meri ke too shaadman rahay
               'Mera hai kaya rahoon na rahoon is jehan mein"

bahut khoob!

zabardast :k:

thanks all

Re: Re: mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay.

:bukbuk:

Re: Re: Re: mehfil mein teri aur bhi haiN chahnay walay.

Munir ye kia hai shakal lagta hai ghussa control lolzzz dont worry brother life main aisa hota hai