Mehfil-e-Unwaan -- Naam

**Unwaan: ** Naam

Saabqa unwaan: Raat, Shaam, Zindghi, Chaand, Gulaab, An’nkhaiN, Mohabbat, Dil, Khushbu, Yaad, Aansu/Ashq,

PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kijeeye.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.

Shukriya

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

*Garmi-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate heiN
ham charaaGon ki tarah shaam se jal jaate heiN
jab bhi aataa hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyun log mere naam se jal jaate heiN *

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

**
Tumhaarey khat meiN naya ik salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha

**

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

**
Hoti hey terey naam sey wehshat kabhi kabhi
barham hui hey yuN bhi tabiat kabhi kabhi
aey dost hum ney tarq-e-ta'aaluq ke ba'waood
mehsoos ki hey teri zaroorat kabhi kabhi
**

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Rait par likh kay mera naam mitaaya na karo
Aankhain such bolti hain--pyar chupaaya nakaro

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Mujh Ko Acha Nahi Lagta Koi Hum-Naam Tera
Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhi Tujh Sa Rakhay

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Ye Naam, Ye Maqaam, Ye Pakeezgi-e-Rooh
Mujh Ko Hui Naseeb Darbaar Se Teray

(Ahmer)

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Ye Baatain Jhooti Baatain Hain Ye Logon Ne Phelai Hain
Tum Insha'Jee Ka Naam Na Lo, Kia Insha Jee Sodaai Hain

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

~humarey turha hai koi jo zinduge apni
tumharey yaad k naam se intubas kurey

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

reit pe beth k bheegey huwey ashko se
tum bhi likhogey mera naam magar merey baad

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Honton Pe Kabhi Unn Ke Mera Naam Bhi Aye
Aye To Sahi, Barsar-e-Ilzaam He Aye

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Akhri baar jo aya tha mairy naam wasi...
main nay us khat ko kalayjay say laga rakha hay ..

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Roop Dey Karr Mujhe Woh Kisi Shahzaday Ka
Apney Bachon Ko Kahani Woh Sunati Hogi
Woh Meri Shakal Mera Naam Bhulaney Waali
Apni Tasweer Sey Kya Aankh Milati Hogi

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

**
Tera naam hi aaya tha lab par ke saari khalqat cheekh utthi
tera haath pakarr kar sarrkoN par terey saath chaley to kya ho ga!
**By: Amal

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Humain aa kar mana layna kisi bhi shaam say pehlay
Udaasee Tehar jatee hai tumharay naam say pehlay

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Jiss shaam mein mere lab per aapka naam na aaye
Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye
Aye jaane wafa ye kabhi mumkin nahin ki
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

banjaR sama'atOun kii zamee'N kaisey Khill uthi
tUm ney to meRa naam pUkara tha auR bass

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

***Guzre hai Hum Ishq k Aise Makaam se
K Nafrat si hogai hai Mohabbat k Naam se


Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

MaiN tera naam na looN phir bhee log pehchaanaiN
Ke aap apna ta'aruf hawa bahaar kee hai

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Naam

Taab-e-naakami nahiN to aarzoo karta hai kyaa
Aarzoo hai mauj ke sahil se takraane ka naam
Aaj tuu kal koee aor ho ga sadar-e-bazm-e-may
Saaqiya tujh se nahiN ham se hai maikhaane ka naam