Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

mainay penguin khaani hai :$

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

Suno Barish! kabhi khud se b koi barh ker daikha hai
Jawab aya, Un aankhon ki magar barsaat gehri thi...

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

baRish hoi to ghaR k darechay se lagay ham
chup chaap sogwaaR tujhay soctay rahay<!-- google_ad_section_end -->

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

barishoon kee serdee meye chelteye
herr herr aik ketreye neye poocha,
keye yeye mausem tow theekh heye
lekin tumheye kiya heye huwa?

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

**Baarish **Boondain Baras Rahi Hain
Lams Tera Paanay Ko Janaan
Meri Po'rain Taras Rahi Hain

(Ahmer)

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

Muhabbat woh baarish hai
Jissay choonay ki khwahish mein
Hatheleyaan tu geeli hojaati hain
Magar haath khaali reh jatay hain ...

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

Abb Bhi** Barsaat** Ki Raaton Main Badan Toot'ta Hai
Jaag Uth'ti Hain Ajab Khuahishain Angrai Ki

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

Muhabbat Aisa Darya Hai
Ke** Baarish** Rooth Bhi Jaye
To Paani Kam Nahi Hota

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

najanay badlon me mil k kia saazish hui
kacha tha mera makan aur usi pay barish hui

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

wah.. :k:

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

YaRab mujhe wo quwat-e-bardasht de k main
in Barishoon mein reit ki deewar ho naa jaoon

Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..

*Aur kuch bhi nahin hota tou bhari baarish mein
Tujh sey bichrey howey rastoun pey safar kerta hoon *
<!-- google_ad_section_end -->