**Unwaan: **Baarish/Barsaat/Saawan
PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kijeeye.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.
Shukriya
PS: Mainay Amal jee ke alfaaz main koi changes nahi ki.. kion k meray khayal se is thread ka iss se behtar explanation nahi ho sakta..
I hope k aap log iss main participate karain ge..
Regards,
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Inn Baarishon Se Dosti Achi Nahi Faraz
Kacha Tera Makaan Hai Kuch To Khayal Ker
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Barasti Boondain Chun Chun Ker Koi Gajra Bana Dena
Meray Hathon Main, Baalon Main Kabhi Baarish Saja Dena
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Gham Ki Baarish Ne Bhi Teray Naqsh Ko Dhoya Nahin
Tuu Ne Mujh Ko Kho Dia, Mainay Tujhe Khoya Nahin
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Ye Kis Ke Isharay Pe Umadd Aye Hain Baadal
Hai Kaun Ho Baarish Kabhi Honay Nahi Deta
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Barasti Boondain Chun Chun Ker Koi Gajra Bana Dena
Meray Hathon Main, Baalon Main Kabhi Baarish Saja Dena
this one is beautiful
Ali_2
January 20, 2008, 10:44am
7
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Buhat khoob :k:
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
barish meri ankhoun se hoti rahi har lamha
sawan ke mahine main jab app nahi aye...
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
baadal ko kia Khabar ki baarish kii chaah meN
kitne buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
bahot khuub bheegi
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
w0w.. beautiful sharings.. :k:
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Apni Her Aik Shaam Her Ek Raat Baich Ker
Abb Aa Gaya Hai Jeena Humain Zaat Baich Ker
Hum Bhi Hain Kia Ajab Ke Kari Dhoop Ke Talay
Sehra Khareed Laye Hain** Barsaat** Baich Ker
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
Phir Saawan Rut Ki Pawan Chali Tum Yaad Aye
Phir Patton Ki Paazaib Baji Tum Yaad Aye
Re: Mehfil-e-Umwaan - Baarish..
barishon mainbheegay kachay a'nganon ki khushboin
chain jab dil ka churain to yaad ker lena hamain
koi jab bhi ka'ptay se narm lehjay main tumhain
zindagi ki de duain to yaad kerlena hamain
Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..
Jahan Jahan Barsaat Utarti Dekhi Hai
Her Suu Teri Yaad Bikherti Dekhi Hai
Bus Ek Jeenay Ki Khuahish Thi Aur Wo Bhi
Hum Ne Apni Aankhon Marti Dekhi Hai
Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..
Rehne Do Ab Ke Tum Bhi Mujhe Parh Na Sakogay
Barsaat Mein Kaaghaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hun
Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..
baa'RishooN k udaas mausam maiN
khud ko dekhooN tu yaad aa'ey koi
kaash ik baaR yuuN bhi ho jaa'ey
**maiN bulaa'ooN tu loat aa'ey koi * *
Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..
Zindagi Ki Raahon Mein Aise Morr Bhi Aate Hain
Sawan Ke Saath-Saath Yehan Patjarr Bhi Aate Hain
Aasowon Ke Sagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain,Wahi Zindagi Jee Lete Hain<!-- google_ad_section_end -->
Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..
*baRishoN ka mausam hai *
*rooh ki fizaaon meiN *
*ghamzada hawa'aeiN heiN *
*be-sabab udaasi hai *
Re: Mehfil-e-Unwaan - Baarish..
**maiN kiyoon usko phone karooN * *
**usay bhi maloom hay... * *
**kul mausam ki pehli baarish thi~!! * *<!-- google_ad_section_end -->