Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
ajab sa haal hai tumhare jaanay k baad
zindagee muhaal hia tumhare jaane k baad
(mera apna shair hai)
plz comment
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
ajab sa haal hai tumhare jaanay k baad
zindagee muhaal hia tumhare jaane k baad
(mera apna shair hai)
plz comment
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
zindagi yun hui basar tanha
kafla sa hai or safar tanha.........
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
**zindagi **tujh se har ek saans pe samjhautaa karoon *
*shauq jeene kaa hai mujh ko magar itnaa to nahin *
*[Muzaffar Warsi]
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Tuney dekhii hey wuh peshaani, wuh rukhsaar wuh hont
Zindagii jin ke tasawur meiN lutaa dii hum ney
tujh pe utthii heiN wuh khoii huwii saahir aankheiN
tujhko maloom hey kyon Umr ganwaa dii hum ney
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
meri zindagi to firaq hay , wo azal say dill main makeen sahi **
**wo nigah e shoq say dor hain , rag e jaan say laakh qaree'n sahi
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Zindagi tujh ko jiya hai koee afsos nahi
zahar khud maine piya hai koee afsos nahi
By: Sudarshan Faakir
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Zindagi ko qareeb se dekho
iss ka chehra tumhe rula dega
By: Faakir
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Dil ko sholon se karti hai sairaab
**zindagi **aag bhi hai paani bhi
By: Firaq Gorakhpuri
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
kamal zindagi hai gharq hona ubhar jana
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
**
daRiya ke sahiloN pe bhi payasa raha hooN maiN *
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Zindagi ko bhi sila kehte hein kehne waaley
jeene waaley tu gunahon ki saza kehtey hein
Sudarshan Faakir
Re: Mehfil-e-Unwaan — Zindagi
Hum tu yun apni zindagi se miley
ajnabi jaese ajnabi se miley
Faakir