Mehfil-e-Mushairah

:salam:
TLK m so glad that u hv posted these ashaar i hope u vl like the whole ghazal too :slight_smile:
So Here You Go

Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnu Koi Sitara Sambhaal Rakhna
Mere Andhero’n Ki Fikar Choro Bas Apne Ghar Ka Khayal Rakhna

Ujaar Mosam Mein Rait Dharti Pe Fasal Boi Thi Chaandni Ki
Ab Is Mein Ugnay Lagay Andhere To Kaisa Jee Mein Malaal Rakhna

Diyaar-e-Ulfat Mein Ajnabi Ko Safar hai Darpesh Zulmato’n
Kahi’n Woh Raahon Mein Kho Na Jaaye Zara Darechay Ujaal Rakhna

Wo Rasm-o-Raah He Nahi’n Rahe Jab To Naamay Kis Kaam Ke Tumhare
Udhar Se Guzraa Kabhi To LooN Ga Mere Khato’N Ko Nikaal Rakhna

Bicharne Wale Ne Waqt-e-Rukhsat Kuch Is Nazar Se Palat Ke Dekha
Keh Jaise Woh Bhi Yeh Keh Raha Ho Tum Apne Ghar Ka Khayal Rakhna

Yeh Dhoop Chaao’n Ka Khel Hai Ya Khizaa’n Bahaaro’n Ki Ghaat Mein Hai
Naseeb-e-Subh Ujrooj Ho To Nazar Mein Shaam-e-Zawaal Rakhna

Kisay Khabar Thi Keh Kab Ye Mosam Uraa Ke Rakh De Ga Khaak “Aazar”
Tum Ehtiyatan Zamee’n Ke Sar Pe Falak Ki Chaadar Bhi Daal Rakhna

Aezaaz Ahmed Aazar