Meherban larkio
Zulm karti raho, rukh badalti raho
Jab bhi chaho mohabbat ka dawa karo
Jab bhi chaho sitam ka irada karo
Jee main aay to jazbon ka izhar ho
Phone per apni chahat ka iqrar ho
Mujh say kia marey lahjay say bhi piyar ho
Jab bhi nazmain likho mujh ko apna kaho
Rang apney fasanown main mera bharo
Maere yaadoun say lamahay sajatee raho
Jab mera zikr ho muskaratee raho
Phir kabhi maslehat ki rida taan ker
Tum kisi ko wafa ka khuda maan ker
Mujh ko buzdil likho be- wafa bhi likho
Shehr bher main mujhey tum bura bhi kaho
Mujh say nafrat ka ielan karti raho
Nit naey mujh pe ilzam dherty ho
Jaisay chaho haqaeq masalti raho
Rukh badalti raho
Meherban larkio
Tum salamat raho.
[QUOTE]
*Originally posted by cuteAmir: *
Meherban larkio.
Meherban larkio
Zulm karti raho, rukh badalti raho
Jab bhi chaho mohabbat ka dawa karo
Jab bhi chaho sitam ka irada karo
Jee main aay to jazbon ka izhar ho
Phone per apni chahat ka iqrar ho
Mujh say kia marey lahjay say bhi piyar ho
Jab bhi nazmain likho mujh ko apna kaho
Rang apney fasanown main mera bharo
Maere yaadoun say lamahay sajatee raho
Jab mera zikr ho muskaratee raho
Phir kabhi maslehat ki rida taan ker
Tum kisi ko wafa ka khuda maan ker
Mujh ko buzdil likho be- wafa bhi likho
Shehr bher main mujhey tum bura bhi kaho
Mujh say nafrat ka ielan karti raho
Nit naey mujh pe ilzam dherty ho
Jaisay chaho haqaeq masalti raho
Rukh badalti raho
Meherban larkio
Tum salamat raho.
[/QUOTE]
haan jee yeh larkiyan salamat rahein chahey jo marze karte rahein , amir jee waisey buhat he ache likhe hey , leiken eik problem hey yar kahein girls ko bura nah lagey yeh sub akher safey nazuk jo therein .
keep it up thanx 4 sharing
Ji nahin, agar socha ay to ziyadha Qurbaniyan LaRkiyan hi detin hain.
In many ways..Humara muashira laRion ki zuban cheen leta hay baas un kay haaq main naray lagtain hain…haaq unka koi nahn deta..
Kosa phir bhi orat ko hi jata hay…chaki main pisy bhi orat or boori bhi kehlay…Wah! Kia shan-eMardan hay…
Adam kay bety hi nay peli baar ghar qatal kia tha… Qatal sirf talwar say nahin hota ji…Lafaz bhi bohat jaan daar hotain hain jo jaan daar ko bejaan kaar daib hain!
Adam kay bety hi nay peli baar ghar qatal kia tha..... Qatal sirf talwar say nahin hota ji....Lafaz bhi bohat jaan daar hotain hain jo jaan daar ko bejaan kaar daib hain!
[/QUOTE]
sahee kaha aap ney qatal sirf talwar sey nahein hota some time lafzoun sey bhee hota hey aur talwar sey laga zakham tu theck ho sakta hey leiken lafzoun sey diya howa zakham shaeid theck nahein hota .
u r right .