Bulati hogi woh mujhey.
Lekin is shore sharabay mein,
Meh ous say dour jata raha.
Apni taklifon meh yaad karti hogi mujhey.
Lekin pathar dili mein,
Meh ous kay dard apnay aap say chupata raha.
Ansoun bahati hogi akaylay mein woh.
Lekin is bhari duniya mein,
Meh ous kay akaylaypan ko jhoot samajhta raha.
Hoti hogi ousay saans laynay mein mushkil.
Lekin inn thandi hawaon keh jhonkon mein,
Meh ous ki saansein bhulakay apni saansein bharta raha.
Andharay meh sayon ko dekhkay darjati hogi woh.
Lekin jaltay diyon ki roshni mein,
Meh apnay haton say sayeh banata raha.
Thand mein baychain hoti hogi woh.
Lekin is bhari dupair mein,
Meh sookon say apnay adhooray khawab mukammal karta raha.
Gulabon ko chuntay hue chubhan hoti hogi ousay.
Lekin giri hui patiyon keh chaman mein,
Meh nagay paoun hasi khushi chalta raha.
P.S. just to let you all know its not complete yet.
Re: "Meh khudgarz toh na tha...lekin ab..."
oye golden scorpion u didnt leave a comment???????
OMG is it that bad that nobody has bothered to reply????
Re: “Meh khudgarz toh na tha…lekin ab…”
Andharay meh sayon ko dekhkay darjati hogi woh.
Lekin jaltay diyon ki roshni mein,
Meh apnay haton say sayeh banata raha.
Its Beautiful Yar… Belive me it is…
Very Nice 
Sorry For Delayed Comment coz BOSS Tapak paRa tha and he needed my Help 
Meanz… Sometimes I work in office too 
Re: "Meh khudgarz toh na tha...lekin ab..."
hahaha its ok yaar
thanks for replying
Re: "Meh khudgarz toh na tha...lekin ab..."
this urdu is soo hard to read...
system
6
Re: “Meh khudgarz toh na tha…lekin ab…”
It’s nice.. Keep it up! :k:
Re: "Meh khudgarz toh na tha...lekin ab..."
Andheron mein saaey kis tarhan kay hotey hein?
Nice one keep it up and thanks for sharing:-)
sodaii
8
Re: "Meh khudgarz toh na tha...lekin ab..."
nice dude ..
sodaii
9
Re: “Meh khudgarz toh na tha…lekin ab…”
tou is mushkil aur krari soorat-e-haal say nabazd azma honay k liye huamain apka ataleeq ban’na hoga,takay aap ki mushkil ko hal kiya jasakay 
Re: "Meh khudgarz toh na tha...lekin ab..."
thanx sodaii
Re: “Meh khudgarz toh na tha…lekin ab…”
good poem 