Meer Ji!! (meer's selected poetry)

well i got myself kulliyat-e-meer from the local library so dont be surprised if i flood intikhaab with some gud ghazals in the next few days…

i was such a ghalib fan before i read meer’s poetry… while ghalib is still a great shaer, urdu shairi mir par khatam hai… no doubt the greatest urdu shaer of all times
for now here is some of the stuff i like so far… not necessarily the whole ghazal, just the shers i liked

hum hovay, tum hovay, meer hovay
uss ki zulfon kay sub aseer hovay

bay taab jee ko daikha, dil ko kabaab daikha
jeetay rahy thy kyon hum, jo ye azaab daikha

poda sitam ka jis nay, iss baagh main lagaya
apnay kiye ka unn nay samraa shataab daikha

dil ka nahin thikaana, babat jigar ki gum hai
tairy bala kashoon ka, hum nay hisaab daikha

laity hi naam uss ka, sotay say chonk uthay ho
hai khair meer sahib, kuch tum nay khawab daikha

na huqq hum majbooron par ye tuhmat hai mukhtaari ki
chahtay hain so aap karin hain, hum ko abas badnaam kiya

shaikh jo masjid main hai nanga, raat ko tha maikhany main
jubba, kharqaa, kurtaa, topi, masti main in’aam kiya :rotfl:

yaan kay sapaid-o-seh main hum ko dakhal jo hai so itnaa hai
raat ko ro ro subhu kiya ya din ko joon toon shaam kiya

kis dil say tera teer-e-nighe paar na guzraa
kis jaan ko ye mirg ka paighaam na aya

wo ik rawash say kholay hovay baal ho gaya
sunMbal chaman ka muft main pamaal ho gaya

uljhaao par gaya jo humain uss kay ishq main
dil saa azeez jaan ka janjaal ho gaya

kaya imtadaad-e-muddat-e-hijraan bayan karon
saa’at hoi qayamat o mah saal ho gaya

qamat khameeda, rang shakista, badan nazaar
tera to meer ghum main, ajab haal ho gaya

aagay jamaal-e-yaar kay ma’zoor ho gaya
gul ab chaman main deeda-e-bay noor ho gaya

ik chasham muntazir hai kay daikhay hai kab say raah
joon zakham teri doori main nasoor ho gaya

qismat to daikh, sheikh ko jab lehar aai to
darwaaza sheera khaany ka ma’amoor ho gaya :rotfl:

shaead kiso kay dil ko lagi iss gali main chot
meri baghal main sheesha-e-dil choor ho gaya

laasha mera tasalli na zair-e-zameen hova
jab tak na aan kar wo sar-e-gor ho gaya

daikha jo main nay yaar to wo meer hi nahin
teray gham-e-firaaq main ranjoor ho gaya

Re: Meer Ji!! (meer's selected poetry)

waaaaaaaaaah

Re: Meer Ji!! (meer’s selected poetry)

:k:

Re: Meer Ji!! (meer's selected poetry)

Nice selection chacha_Ghalib, we will be waiting for your flooding :)