[size=2]1. meri dukh ki koyee davaa na karo
mujhko mujhse abhi juda na karo
-
nakhuda ko khuda kaha haiN to phir
doob jaavo, khuda khuda na karo
-
yeh sikhaya haiN dosti ne hameN
dost bankar kabhi wafaa na karo
-
ishq haiN ishq, yeh mazaak nahiN
chand lamhoN meiN faisla na karo
-
ashiqui ho ya bandgee(bandgi), ‘faakir’
be-dilli se tho ibtida na karo
ashiqui - romance; bandgee - devotion; worship;
be-dilli - disinterested, lack of interest]
ibtida - start, beginning]
shaer Sudarshan Faakir[/size]
naZaAr se mila kar sharaab peety hein
Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !
**
Isee liyey to andhera hai maikaday mein bahut,
Yahan garon ko jala kar sharaab peetay hain !
**
Hamey tumharay siva kuch nazar nahin aaata,
Tumhay nazar mein saja kar sharaab peetay hain !
**
Un kay hisay mein aati hai pyaas hi aksar,
Jo doosron ko pila kar sharaab peetay hain !
**
Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !
- Tasneem Farooqi
Re: mee dukh keey koi dava na karo
nice choice lakri but post karnay k baad aik dafa dekh lain aur edit kar dain plzzz :)