Re: Meaning of Today’s Urdu Word…Nov. 07, 2011
**waah…aapne to dareecha-e-ma’aanii ham sab pe vaa kar diye…bajaa farmaayaa.
yeh ek laRkii kaa naam ho saktaa hai magar maiN en to ise ek lafz ke taur pe pesh kiyaa thaa. ![]()
turfah = ajeeb o Ghareeb, anokhaa, novelty, rarity
is lafz ko Hasrat Mohanii ne apnii Ghazal ke ek she’r meN yuN musta’mil kiyaa thaa:
hai mashq-e-suKhan jaarii, chakkii kii mashaqqat bhii
ik turfa tamaasha hai “Hasrat” kii tabii’yat bhii!****
huaa yeh thaa k mausoof mohim-e-aazaadii ke silsile se sair-e-zindaaN kiyaa thaa aur vahaN beRii mashaqqat kiyaa karte the aur chakkii bhii peesaa karte the bechaare saaraa saaraa din magar hamraah she’r o shaa’irii ke bhii gul khilaayaa karte the.**