Meaning of Today's Urdu Word...Nov. 03, 2011

Re: Meaning of Today’s Urdu Word…Nov. 03, 2011

**hehe…be-maqsad se muraad yeh k unkii koii manzil tai nahiiN hotii aur vo kabhii us jagah lauT kar nahiiN aate jis jagah se vo ek baar kooch kar chuke hote haiN…Rab kii talaash meN nikal paRte haiN aur yeh unkii zindagii kaa maqsad-e-ai’n hotaa hai

ab kaise kaise sitam_haa-e-zabaan o bayaan hote haiN, isko jaanne ke liye aap Kabeer Das ke dohe paRheN: :slight_smile:

****‘rangii’ ko ‘naa-rangii’ kaheN, ****‘bane doodh’ ko ‘khoyaa’
‘chalti’ ko ‘gaaRii’ kaheN, yeh dekh ‘Kabira’ royaa!!!

maiN ne bahot se saadhuoN ko jogii bante aur ghoomte dekhaa aur ek ko yeh kahte sunaa k ham bhagwaan kii dhun meN ghar baar chhoR ke nikal paRaa huN ab jahaN bhagwaan milegaa vohii meraa dhaam hogaa!**