Kya likhun..?
K ab to thak chuka hun likh likh kr..
Dard jo b sahay hain wo likhun..?
Ya Dard dene wale ka hosla likhun..?
Ya apni bebasi ka falsafa likhun.?
Ya us k door honay tak ka faasla likhun..?
Aakhir kya likhun..?
Ab to dard itna honay laga hai, k dil phata jata hai..
Kyun hota hai dard mujhe?
kya wo haadsa likhun..?
Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam..?
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hai..?
Lekin maroon b to kis k liye..?
Kon hai jo mujhe kaandha dega..?
Kon hai jo mujhe yaad krega..?
Wo?? Jo jeete jee baat nahi krte..?
Ya Wo.? Jo bhule se b yaad nahi krte..?
Wo kya royenge meri miyyat par..?
Jo mere zinda hone ka ehsas tak nahi krte..?
Ab aur kya likhun k ab to Qalam b saath nahi dega..!
Chalo aisa krta hun k ab kuch nahi likhta..
Qalam ko tor deta hun..!
Me likhna chor deta hun..!
Wo kya choray ga mujhe …
Me khud uski dunia chor deta hun…!!***