raat chaaee to har ik dard kay dhaaray chootay
subah hui to har ik zakhm kay taankay tootay
dupehar aai to har ik rug nay lahu barsaya
din dhala, khof ka afriut muqabil aya
YA KHUDA yey meri gardaan-e-shab-o-roz-o-sehar
yey meri umar ka bay manzil-o-araam safar
kia yehi kuch meri qismut main likha hay tu nay
har musarut say mujhay aaak kia hay tu nay
WOH yey kehtay hain tu khusnood har ik zulm say hay
Woh yey kehtay hain har ik zulm teray hukkm say hay
gar yey sach hay to teray adal say inkaar kuro?
in ki maano kay teri zaat ka ikraar kuro?