Wo Musalman hai kyonki baap Musalman tha,
Wo Hindu hai kyonki baap Hindu tha,
Wo Christan hai kyonki baap christan tha,
Yani sab majboor,sabka majhab hai thopa hua
Chalo ek aisa nizam banayen,
Mazhab chun ne ki izazat dilayen,
dhamkiyon aur fatwon se chhutti payen,
Khuda koi bhi ho par dil mein bithayen,
pardafash karo mazhab ke thekedaron ka
insaniyat ki kalabazari ke dhandebajon ka
tabhi badlega masoom begunahon ka naseeb
Us din ham honge apne khuda ke kareeb.