[[[ Mayoosi gunah hai ]]]

**Mayoos mat hona yeh ek gunah hota hai
milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

har cheez miley humain yeh zaroori to nahi
kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

jo khud ko kostay hain woh shayad be-khabar hain
kuch paa lene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

har ek ko barsar-e-ilzam kyun thehrayein hum
apne samne bhi tou ek aayeena hota hai

hum apni zindagi se kyun haar jayein
gar doobta hai sooraj to kal bhi ujala hota hai**

**Moral: **Neva give up!

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

nechy jo likha hai shair ka naam hai :konfused:

wasy not bad acchi hai :smiley:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

Sweet................
bohat achee hai:)

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

jaise aap samjhein bas kabhi garoor nahi kiya :@:
thanx btw :phati:

thanx jee! bas kabhi garoor nahi kiya :phati:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

kar lo apna ye shouq bhi poora:@:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

kash kar sakta :@:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

kyun nahin kar saktay???
Akhir kyun???kyun?kyun???:faizy:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

Aladdin garoor kare ga to uske cartoon kon dekhe ga? :faizy:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

to aap nay maan he lia kay aap cartooo…ho …:cb:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

**har cheez miley humain yeh zaroori to nahi
kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

****jo khud ko kostay hain woh shayad be-khabar hain
kuch paa lene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

**har ek ko barsar-e-ilzam kyun thehrayein hum
apne samne bhi tou ek aayeena hota hai

preety kool prince jee :rose:

Re: Mayoosi gunah hai ]]]

nahi ji! mein ne kaha tha “Aladdin garoor kare ga to uske cartoon kon dekhe ga?”, yeh nahi kaha ke t.v pe mujhe dekho. lol
waise cartoon ka bhi dil hota hai bas kabhi garoor nahi karta :@:

thanx sid :smiley: