Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai,
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai,
Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai,
Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai,
Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal tuloo bhi tou hota hai.
reet
May 28, 2006, 4:17am
4
Re: mayoos mat hona
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai,
bahot khoob.........Ishrat
Re: mayoos mat hona
Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai,
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai,
Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai,
Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai,
Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal tuloo bhi tou hota hai.
Bohat acchi ghazal hai....Ishrat
<!-- / message -->
Re: mayoos mat hona
hmm,, Buhat achi Ghazal hai Ishrat ji,,,
Re: mayoos mat hona
wonderful ....chand ashaaaar ap ke nazar
pyaar apna aazmaa kar daikhhiyay
yaar kay koochay mei'n jaa kar daikhhiyay
kuchh nadaamat chaahiyay gar aap ko
aap logo'n ka bhalaa' kar daikhhiyay
ug paRai'ngay yeh zabaa'n par aik din
raaz seenay mei'n dabaa kar daikhhiyay
in ki fitrat hai khushi say dushmani
gham say aa'nkhhai'n to milaa kar daikhhiyay