~~~~MAYA HAI~~~~~

**Sab Maaya Hai
By insha

sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai

haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
sab maaya hai

ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
sab maaya hai

maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai

kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
sab maaya hai

jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo – hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
sab maaya hai

woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay’ghaam yeehi bhijwaya hai
saab maya hai

jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai

jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door – aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai**

Re: MAYA HAI~

hmm nice …:yahoo:

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

parhi bhi ya awaien dancing????

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

lol i like this one

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

Nice :)

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

achi i read it quite often

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

nice

Good One Maya..:k:

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

sab maya hai......bohot umda maya

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

Insha G poetry is entirely different poetry from other poets ....
thx for sharing such a cool stuff

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

[QUOTE]
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai

[/QUOTE]

zabardast...

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

thanks
Waleed
Srmad
Aaliya
Aryaan
Saqi
Sannan
Dania
&
Neha

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

ur welcome

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

nice

Re: MAYA HAI~

:aliyish:

Re: ~~~~MAYA HAI~~~~~

vryyy nice...:)