May tanhaye or shairi

Jis nay bhi tujhay dekha ho ga
us ka haal bhi mujh sa ho ga

Jis nay mujh ko tanhaye di
woo bhi ik din tanha ho ga

Yeh jo hoi hai dil pay dastak
us ki yaad ka jhonka ho ga

har soo khushboo phail gaye hai
woo is raah say guzra ho ga

is umeed pay zinda hoon may
koi tu wada pora ho ga

may nay dil ko samjhaya tha
piyar kiya tu dhoka ho ga

wada kar k aa jata tha
AAJ kisi nay roka ho ga

us ko bichray mud-dat guzri
janay ab woo kaisa ho ga

Kaif` milay ga kiya shairon say
Dil ka bojh he halka ho ga

(Kaif Irfani)

Re: May tanhaye or shairi

har soo khushboo phail gaye hai
woo is raah say guzra ho ga

boht tez cologne lagti hai? waise kia rishton ki apni khushboo hoti hai?

Re: May tanhaye or shairi

khusboo tu har cheez ki hoti hai, asal cheez tu senses hotay hain jo us ko mahsoos kar patay hain ya nahi

Re: May tanhaye or shairi

mehsoos karne wala na mile to phir.... Parveen Shakir ne kaha tha:
Khushboo ki tarteeb hawa key raqs mein hai
Meri sanad, merey hi jaisey shakhs mein hai

Mere jaisa hi shakhs milna mushkil nahin? Her insan doosre se alag hi hota hai.

Re: May tanhaye or shairi

might be parveen shakil believed in anti matter theory and anti matter worlds :P

Mohabat may insan jab kundan ban jata hai tu apni personality khatam ho jati hai, or sirf dosray ki personality reh jati hai....yaar aap shair ko mohabat k tarazoo may rakh k kion nahi samjhtay :(

Re: May tanhaye or shairi

Ranjha Ranjha kardi main aap hi Ranjha hui wali muhabbat ab kahan hoti hai? aaj kal ke insaan ne bore hona seekh liya hai. Muhabbaton se bhi ukta jata hai

Re: May tanhaye or shairi

jo mohabat karta hai woo uktataa nahi or jo uktaa jata hai woo mohabat nahi karta....

mohabat jab ho jati hai tu hamaray charoon taraf hoti hai...wajood us may gum ho jata hai...

Tanhai k badly tanhai ki dua bhe dy rahy hain or us ka haal janny k liye bhe bechan hain.

Re: May tanhaye or shairi

give this line a deep understanding...

"woo bhi ik din tanha ho ga"

Re: May tanhaye or shairi

ye to life1 walon ka topic hai.. tracing ex.... :)

Re: May tanhaye or shairi

wah.. sanu lag gai be-ikhtiyari..... per kia ab bhi aisa hota hai.... short lived love hi ziada dekhne main aata hai

Re: May tanhaye or shairi

ye bad-dua hai ya concern?

Re: May tanhaye or shairi

yeh bad-dua nahi hai, sochnay ka aik andaaz hai, woo samjh lain shair samjh aa jaye ga....

Re: May tanhaye or shairi

"Kiya mohabat bhi koi paisha hai...
loag kion itna payar kartay hain???"

Re: May tanhaye or shairi

Main aur meri tanhaai
Aksar baatain karte hain
Is chotay se kamray k
Chota se aik konay main
Is shehr k sab se
Baray pagal khaanay main

Please sharminda mat keejiye...hold the taaliyan.

Re: May tanhaye or shairi

Mohabbat paisha hota to uss per tax bhi lagta.

Re: May tanhaye or shairi

kuch mazdoron pay tax nahi lagta...bas un ka ragra lagta hai... ;) :P

khair baat serious ho rahi thi, jo aap baat kar rhay thay us ka jawab hai jo short term love ki aap nay baat ki thi

Re: May tanhaye or shairi

:emmy: ar wo bhe aik din tanha ho ga to us ki ghalti ho ge? yani aap ki dua ka koi dakhal ni? jaisa karo gy waisa bharo gy

Re: May tanhaye or shairi

meri tu dua hai he koi nai…

Re: May tanhaye or shairi

mujhe aap ab aik strict sarkari proffessor lagne lagay haiN , explain bhi nai krte aur jo samajh ata hai usey bhi aur ‘deeply understand’ krne ko kehte hain :bummer: