maut...

Qaid-e-hayaat-o-band-e-gham asl mai donoN aik haiN
maut say pehlay aadmi gham say nijaa’t paaey kiyoon

Wah Hayaa ji...subhan Allah! Kya khoob shir muntakhib kiya hai aap ne...hamesha ki tarah aap kay zawq ka jawaab nahin ! :)

Wah Wah, kia maut haey! One of my favorite Ghazals from the 12th grade Urdu Textbook

dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuu.N
roe.nge ham hazaar baar koii hame.n sataaye kyuu.N

dair nahii.n haram nahii.n dar nahii.n aastaa.N nahii.n
baiThe hai.n rahaguzar pe ham Gair hame.n uThaaye kyuu.N

jab vo jamaal-e-dilafaroz, suurat-e-mahr-e-niimaroz
aap hii ho nazaaraasoz, parde me.n muu.Nh chhupaaye kyuu.N

dashnaa-e-Gamzaa jaa.Nsitaa.N, naavak-e-naaz bepanaah
teraa hii aks-e-ruKh sahii, saamane tere aaye kyuu.N

qaid-e-hayaat-o-band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahale aadamii Gam se najaat paaye kyuu.N

husn aur us pe husn-e-zan rah gaii bulahavas kii sharm
apane pe etimaad hai Gair ko aazamaaye kyuu.N

vaa.N vo Guroor-e-izz-o-naaz yaa.N ye hijaab-e-paas vaz_a
raah me.n ham mile.n kahaa.N, bazm me.n vo bulaaye.n kyuu.N

haa.N vo nahii.n Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii
jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii me.n jaaye kyuu.N

Ghalib-e-Khastaa ke baGair kaun se kaam band hai.n
roiie zaar-zaar kyaa, kiijie haaye-haaye kyuu.N

Buhat khoob :k:

Nice,
though the perfect recipe for staying a sad-lil-feeling-sorry-for-meself person.

moot apni na amal apna na jeena apna
kho gaya shoorish i geeti mein qareena apna

(Faiz)

zabardastttttt :k:

Good 1
thanx for sharing

Hayaa jee nice choice haan …:slight_smile:

Bohot khoob:k:

Zindagi kyaa hai anaasir meyN zahuur-e-taratib
Maut kyaa hai unhee ajzaa ka pareshaaN hona

wa g wah

Re: maut...

[QUOTE]
*Originally posted by hayaa: *
Qaid-e-hayaat-o-band-e-gham asl mai donoN aik haiN
maut say pehlay aadmi gham say nijaa't paaey kiyoon
[/QUOTE]

nice Aunty hayaaaaa