Thanks guys.. here is all of it..
aik tabah-shuda jahaz ki kahani
baash ay ehl-e-safar
moj-dar-moj bephartay huway paani nay kaha
saahilon pe jo zamanat thi nikal chalnay ki
ab wohi ronaq-e-sailaab bani hay - daikho
rizq-e-gardaab bani hay - daikho
woh jo ghar choR kay niklay thay naey raston par
dhoondnay apni umeedon ki zameen
ab kharray sochtay hain
kis taraf jaaeyn, kisay pochain, kahan par dhoondain
woh masaafat ki ameeN
soorat-e-weham hay har shakl-e-yaqeeN
daam-e-har moj mai manzar hay naya, khof-e-bay-naam kay jaadu say riha
aik bhi aankh nahi
kaf-e-sailaab-e-bala, kaf-e-lab haaey dua-go ki tarah
dambadam barrhta chala jaata hay
aasmaanon ki tarah daikh kay sab rotay haiN
tu keh har aik ki sunta hay kahaaN hay? - tu kahin hay keh nahi!!
"tum mujhay chorr kay jaatay ho kahan - ruk jaao!
mai tamanna hoon mera harf-e-muqaddar tum ho!
joo-e-kam aab hoon maiN aur samandar tum ho!
haaN meri jaan! meri jaan kay musaafir tum ho!
aao basti ki taraf jaaeyn wahaan par dhoondaiN
koi chhat jis kay liyay
ham tamanna kay dar-o-baam ki ta'meer karain
ay samandar ki hawa rok ussay - ruk ay musaafir jaan kay
ay hawa rok ussay - rok usay rok...."
"haaey woh log to mar jaaey gay
jo meri aas pay jeetain hain jinhaiN
uss samay mai nay kaha tha daikho - mujh ko hanstay huway rukhsat karna
ay meri aankh kay taaro, meray piyaaray bacho!
yeh bala-khez hawa kaali masaafat kay azaab
mujh ko sehna haiN beher-tor keh inn say aagay woh dukaanain hain
jahaan sabaz hansi milti hay
woh turb-khez hansi
mai jissay dhoondnay nikla hoon tumhari khaatir - !
ay meri jaan-e-safar, itni mayoos na ho
daikh no ro,
mai buhut jald chala aaoon ga
haan meri jaan buhut jald chala aaoon ga
bhar kay daaman mai tumharai khushiyaan,
meri piyaari - khushiyaan
(haaey afsos hamaari khushiyaan)
"kaisa bharpoor jawaan tha woh shakhs
apnay hi khoon mai tar woh meray paas gira tha laikin
itni bay-rang thi aankhain uss ki
jaisay woh khwaab mai ho,
na kahin khof ka saaya tha na nafrat ka nishaan
zinda rehnay ki tamanna thi na marnay ka gumaaN,
jaisay woh mast-e-may-e-naab mai ho
uss nay holay say kaha
yeh mujhay kon samundar mai uttha laaya hay?
kaisa sailaab meri simt barrha aata hay
paani.................paani
kiya khabar maut samandar ki tarah hoti ho?
zindagi bhar ki kashakish ka sila
sang-e-marmar say banaai huwi lambi kotthi
factory-car-zameeN-daashta-jinsi amraaz
kitnay khush hongay meri maut pe saaray bachay!
meray sang-zaaday, mera khoon, meray piyaaray bachay!
kaash yeh chance mujhay mil jaaey
sab ko mai aaq karoon, kaam karoon naiki kay
naam kar jaaon koi faiz kay asaab karoon
ji mai thaani hay keh bach jaaon to makkay chaloon
................
koi awaaz nahi
asmaan aur samandar ki kaRi dehshat say
bay-khabar
aik tootay huway takhtay par baha jaatay hay
aik nannha sa bashar
saahilon par ussay kuch log milain gay phir yeh
aap aik roz samandar ki taraf aaey ga
kon say roob mai, kab aaey
nahin uss ko khabar
roz-e-awwal say ravaan - ibn-e-aadam ka safar
[This message has been edited by hayaa (edited July 16, 2002).]