**Apney honton per sajana chahta hon
Aa tujhe mein gungunana chahta hon
Koi aanso terey daaman per gir kar
Boond ko moti banana chahta hon
Thak gaya mein kartey kartey yaad tujkh ko
Ab tujhe mein yaad aana chahta hon
Chaa raha hai saari basti mein andhera
Roshni ho ghar jalana chahta hon
Aakhri hichki terey zaano per aaye
Maut bhi mein shairana chahta hon**