Mausam

Wo kehti hai,
December he faqat chahat ka mausam hai
Mai kehta hoon…
Mohabbat ka koi mausam nahi hota
Kabhi barish ki boondon ko
zara tum ghor se dekho
Tumhara chilchilati dhoop
mein bhi chhatt pe aa jana
Meray humdum…
yeh bhi tou Mohabbat ki nishani hai
Tou goya jaan lo janaan’
Meray dil mein jo jazba hai,
kabhi bhi kamm nahi hota
Mohabbat karnay walon ka
koi MAUSAM nahi hota..

Re: Mausam

Good One Waleed..:k:

Re: Mausam

Wah Waleed. Nice selection. Lagta hai aaj kal acha zoq rakhne walon ki sohbat muyaasar hai aap ko.

Re: Mausam

Apka matlab hai pehlay bura zoq rakhnay walo mein tha mein :@:

Re: Mausam

Nahi baba aisa kab kaha maine. I mean aaj ka intekhab pehle se acha tha.

Re: Mausam

I know kabhe kabhe chawal mar deta hon mein :@:

Re: Mausam

Lekin maza aata hai wo bhi padh kar. Roz Roz murghi kha ke bhi to munh ka zaiqa kharab hojata hai.

Re: Mausam

Haan na kabhe kabhe mutton bhe hona chahye aur kabhe fish bhe ;)

Re: Mausam

Yes Palla fish bhi chalti hai. :yummy:

Re: Mausam

Nice one :k:

Re: Mausam

Yeah :lifey: