Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

**

Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

Kal raat baar baar tumhein sochte rahe

Baarish huwi tau ghar ke dareechay se lag ke hum

Chup chaap sougwaar tumhein sochte rahe …

**

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

aap ho :eek: :eek:

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

What do u mean aap ho ?

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

:hehe:poetry me nahi dikhte

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

Barishon ke mosam mein

**Baarishon ke mausam mein

Tum ko yaad karne ki

Aadattain puraani hain

Ab ki baar socha hai

Aadattain badal daalain

Phir khayaal aaya ke

Aadattain badalne se

Baarishain nahe rukteen ...

**

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

**

Yaadain jaag jaati hain
Baarishon ke mausam mein

Har ghari sataati hain
Baarishon ke mausam mein

Shaam bhi kisi surat
Chain se nahe kat'ti

Subha bhi sataati hain
Baarishon ke mausam mein

Zehan ke jharoke mein
Jab koi sada ubhray

Aankhain bheeg jaati hain
Baarishon ke mausam mein ...

**

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

**

Baarishon ke mausam mein
Muhabbaton ke aalam mein
Mein ne us se poocha thaa
Chor tau na jaaoge ... ?
Us ne haath thaam kar
Pyar se mujhe bola
Kaise chor sakta hun
Tum tau jaan ho meri ...

Aur aaj aisa hai

Baarishon ke mausam mein
Wehshattoon ke aalam mein
Mein ne us se poocha hai
Chor ke jo jaana thaa
Muskuraahati galleyoon mein
Tau aas kyun dilai thee
Pyaad kyun jagaai thee

Chalte chalte woh bola
Mausamoon ki aadat hai
Waqt per badal jaana ...

**

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

Baarishon ke mausam mein ...

**Baarishon ke mausam mein
Rooh ki fizaa'oun mein
Ghamzada hawaa'yain hain
Be-sabab udaasi hai
Is ajeeb mausam mein
Be-qaraar raatoon ki
Be-shumaar baatain hain
Un-ginnat fasaanay hain
Jo bahut khaamoshi se
Dil pe sehtay phirte hain
Aur ba-amr-e-majboori
Sab se kehte phirte hain
Aaj mausam acha hai
Aaj hum bahut khush hain ...

**

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

**

Baarishon ke mausam mein
Dil bahut machalta hai
Tere sang chalne ko
Tujh se baat karne ko
Teri baat sun'ne ko
Dil bahut machalta hai
Dil ko kaise samjhaayain
Hum ko zindagi bhar ab
Baarishon ke mausam mein
Bheegna bhi hai tanha
Aur tanha chalna hai
Baarishon ke mausam mein
Tujh ko yaad karna hai ...

**

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

Bohat Khoob

Re: Mausam thaa beqaraar tumhein sochte rahe

Boht hi aala. ehsan uncle ka favorite topic.