Mausam Ko Ilzaam Deti Rahe

Yun hi teray iltafat ko mohabbat ka naam deti rahi
Dil main lagi thee aag mausam ko ilzaam deti rahi
Meri taqdeer ko hokum tha umar bhar dukh raqam karti rahay
Who sangdil tand hi sey farz anjaam deti rahi
Main kah gulaab lamhon ki talaash main bhatakti rahi
Sabah mujhay khizan ki aamad kay paighaam deti rahi
Go phoolon ki talab aur ishq bohat tha mujhay
Milay kaantay sir-e-raah ko bhi ahteram deti rahi

:k:

Masha Allah... thanks for sharing

bouhat khoob… :k:

bhai yeh har cheez ** DAYTI RAHI ** tu bacha kia , ;)

wasay its a nice one