mausam ki tarah

Mil bhi jaate hain to katra ke nikal jaate hain,
Haaye mausam ki tarah log badal jaate hain … !

Hum abhi tak hain giraftar-e-mohabbat yaron,
Thokrain kha ke suna tha ki sambhal jaate hain … !!

Wo kabhi apni jafa par na huwe sharminda,
Hum samajhte rahe patthar bhi pighal jate hain … !!!

Umar bhar jinki wafaon pe bharosa kariye,
Waqt padne pe wohi log badal jaate hain …

Re: mausam ki tarah

Umar bhar jinki wafaon pe bharosa kariye,
Waqt padne pe wohi log badal jaate hain ...

:(

Re: mausam ki tarah

Bohat Khoob.............