Mausam hai aashiqaanaa
ai dil kaheen say unko aisay main dhoond lana
kehna kay rut jawan hai aur hum taras rahay hain
kaali ghata kaye saaey, birahan ko das rahay hain
Dar hai na maar daalay saavan kaa kiya thikaana
mausam hai …
Suuraj kaheen bhi jaey, tum par na dhoop aaey
tumko pukaaratay hain, in gesuoon ke saaey
aa jaao main bana doon palakon kaa shaamiyaana
mausam hai …
yay raat yay khaamoshi yay Khuwab say nazaaray
jugnuu hain yaa zameen par, utare huay hain taaray
betaab meri aankhain madahoshh hai zamaanaa
mausam hai
Kamal Amrohi