Mujhe shikwa hai tujhse, tujhse shikayat hai !!
Kyun aisi hai yeh duniya, kyun yeh rawayat hai !!
Maula, yun toh tujhpe hue sajde hazaar hain …
Lekin kyun yeh insaan jhooti kashti pe sawaar hain …
Kahan hai woh ibadat sacchi, kyun dikhawat ka hissar hai …
Makhaul hai yeh ilm ka, Khudai per waar hai …
Kyun hai insaan ab itna kamzor, kyun banawat ki darkaar hai..
Kyun nahin kaifiyat mahaul mein, zarurat jiski har bar hai..
Yeh kaisa dhoka uss banane wale sae iss insaan ka..
Kaisi yeh parastish, kyun adhuri si har aayat bar bar hai… !!
Mujhe shikwa hai tujhse, tujhse shikayat hai !!
Kyun aisi hai yeh duniya, kyun yeh rawayat hai !!