Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

**Mujza Aur Mujzaat ke Means AUR In ke LUghvi Tahqeeq
**MuJza Aur Mujzaat ke Alfaz Quran main Ayee hi nahi.Albata main is ke Maday app ko bata daita hoon.(AAin Jeem Zaay).Maday ke Lihaz se Mujzay ke Means Hooty hai Woh baat jo Dosroon ko AAJIZ kar day(Aajiz main hi Mada hai AAIN JEEM ZAY
Jahaan Taak Muhammad (pbuh)ke mujzaat ka talooq hai quran nay baar baar wazhat kar de hai ke Quran hi Hazoor ka asaal Mujza hai.is ke Ellawa app ko koi hassani Mujza nahi dia gaya
Quran Kareem Arbaab elim o tahqeeq ke Tawaja baar baar is amaar ke tafar muntaqil karta hai ke Kainaat ke Takhleq aur jis Nazam o Nasaq ke Maatahaat yea silsila sargam e Amaal hai Woh Khud Ek azeem Mujza hai chookay woh in ko "Ayaat Ullah "Kah kar pukarta hai
Kufar ke Hazoor se MUjzaat KE Taqazay Aur In ka Jawab.
Haqeeqat se Na ashna Log Kahtay hai Khuda Hum se Batain Kion nahi karta.Yea Koi Ayaat(Ayaat se yahaan loh murad mujza laty hai)kion nahi Bhaij daita.is kisam ke batain Log Pahlay bhi kia karty thai (2/118)
Kia yea Log is ka intazaar karty hai ke khuda aur is ke farishtay Badloo main Baith in ke pass Ajayeen(2/210,6/159,16/33,25/21)
Ek likhi Kitaab Aasman se Laoo (4/153)
Yea phir bhi Imaan na laty(6/7)
Is per Farishta Kion nahi Utarta(jo humhe daikhai day)(6/8 to 10)
Yea Tamam Ayaat daikh kar bhi Iman nahi Layeen Gaye(6/25)
Yea log Kasmain Kah Kah kar kahtay hai Agar Koi Ayaat(Maujza) daikha dia jaye tu hum Iman lay Ayeen gaye.Kahoo ke Khuda ke Maujzat tu(Zameen Aur Aasman main)Bikhray paray hai(6/110)
Agar in per Farishtay bhi Nazil hoo jatay yea Maurday Boolnay lag jaaty tu bhi yea Iman nahi Laty(6/112,15/7)
Yea Aisa Quran chahtay hai Jis se Pahar chalnay lag jayeen.jis se murday boolnay lag jayen(13/31)
Ajeeb au Gharib maujzaat ka Mutalba Jawab main Kaha gaya ke Rasool ek bashar hi hai(17/90 to 93)
Agar Zamin main Farishtay Bastay tu farishto ko Rasool bana kar Bhaij dai daitay(17/95)
Yea Maujza Mangtay kia Quran Maujza nahi(20/133,29/50 to 51)
Aaitraaz ke yea Kaisa Rasool hai Jo Kahta Peeta hai Aur Bazaroo main ghoomta phirta hai.Farishtay is ke jaloo main kion nahi hootay.Baghaat is ke liye kion nahi Ugtay(25/7 to 110)
**Moojzaat ke Sillsilay Main Hazoor Se Khitaab
**Agar In Logo Ka Airaaz App per is Qadar Garah Guzarta hai tu Zamin main Soorang Laga Lijiye yea Aasman per Siri Laga KAr chahar jayie.Yea Phir Bhi Imaan nahi layeen gaye.Yaad Rakhoo Murday soona nahi karty Allah Ayaar Bhaijnay per Qadir hai(Lakin is ka faida kia)(6/35 to 37,11/12 to 13,26/3 to 4 )
maujza Talbi ke Jawab Main Kaaha ke main tu sirf Wahi ka Itba karta hoo is main Basir hai(7/203)
Yea Log Kahtay hain ke rasool ko koi Maujza kion nahi dia gaya.Kah doo Ghaib Ka elim Khuda ke Pass hai
Tamam Ayaat daikh kar bhi Imaan Nahi Layeen gaye.Ayaat tu Kainaat main Bikhri Pari hai lakin Imaan na lanay waloo ko is se koi Faida nahi Pooch Sakta(10/96 or 101)
Tu Tamam Mujzaat daikha daita yea Jab bhi Imaan nahi latay (30/58)
**Hazoor KA moojza (Quran)
**Quran hai jis main basair hain(7/203 10/38 11/12 to 13,20/133)
Mainne Tamam Umar tum main Guzari hai yea kia Mere Sadaqaat ke Dalil nahi (10/16)
Quran Bay misal hai(2/23, 8/31,11/13,17/88)
Kia Quran Kafi nahi(29/50 to 51)
Quran Karim baar baar kahta ke Kainaat ka Nazam o Nasaq khud ek moo Boolta hooa Maujza hai.yea log is per ghoor nahi karty aur Koun se Maujzay se Imaan Layeen gaye.bashar ke maujzay is ke waqt ke liye hooty is ka koi faida nahi tha is liye allah nahi dia Maujza kisi ko Yea theek bhi hai Anbiya( bashar) ka Kaam sirf
On Wahi per Ammal kar ke daikhna tha jo in per nazil hoye.Aur Yea Kamam Sab insaan kar saktay hai Imaan Lanay ke Baad aur Agar in per MAujzaat kiye Jatay tu YEa Bashri zindagaye se Agay nikaal Jatay jis ke itba (yani Anbiya ke itba )hum jaisay normal insaan ke liye Mushkil Hoo Jaty.
**Kainaat Main Bikhray Hoye Maujzaat
**Takhliq o Araz o Samaa ek Maujza hai(Yaad Rakhain App ko Allah ke Ataat karni hai is ke Qanoon ke Passdari)Kia Taab bhi app ko zarooraat hai Allah ke Hazair nazir hoonay ke (Anbiya nahi kabhi Maujza nahi kia)
Barish Nabataat Faislay Baghaat(16/10 to 13)
Aajram e Falki (10/5 to 6)
Insaani Paidaish(15/26,2312,32/7)
In Ayaat se sab Aankh Baan kar Guzar Jatay aur Maujzaat ke Farmish Karty hai
Mainne yahaan Koi Maujza zare bahas nahi laya kion ke Quran ke in wazay ayaat se Saaf Aishara mil raha hai ke Hazoor ko koi Maujza nahi mila
Allah Hum sab ko Allah ke Maujzaat per Imaan lanay ke Taufeq Ata farmaye kion ke Humhe Apnay Allah ke pass wapis Lootna hai

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

just in the previous sentence u said that the word muajaza is not mentioned anywhere in the Quran…
then what does this mean???

and u say that this has been repeated many times in the Quran…
atleast cite one reference…

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

Os ke Liye Lafaz Ayat hai mainne woh Bracket main bhi likha hai

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

^ u still did not come up with a reference....

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

Now All refrences has been posted.All r Qurani Ayaat see The quran.See the Ayaat No.Wht Happed Armughal bhai Quran nahi hai kia Ghar main

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

^
i asked u for reference for what i quoted above from u....

u said Quran tells us repeatingly that Quran itself is the muajazah of the Prophet (saw), i asked u to provide us with atleast one from those verses that u say appear "baar baar" in the Quran....

and i dont see any reference to that in ur post....

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

I couldnt get u Bhai wht should i provide u?

Re: Maujzaat Word ke Lughwai Tahqeeq

Simple re-quote the verses from the Quran that specfically speak of the miracles you're referring to.