MATTI
Lahoo, na ashk, na husn o jamaal matti ka !
Na poochh kitna katthin hai sawaal matti ka !
Na chaahe aap se kuch bhi, hai shaan matti ki
Panaah aap ko de, hai kamaal matti ka
Isey jo khaak samajhte hain, khaak samjhe hain !
Milaa de khaak mein sab ko jalaal matti ka
Pale isi pe, chale hain, isi mein jaana hai
Ghuroor chorr k ehsaa(n) sambhaal ,matti ka !
Zubaa(n) khamosh, nazar jhuk gaee hai kiyun aakhir ?
Hua kiyun saamna karna mahaal matti ka ?
Hamaare aaba’ o ajdaad bhi to insaa(n) they
Hua to tab bhi yehi tha sawaal matti ka !
Dilon ko narm karo, aaj aaisa azm karo !
Urooj banne lage ye zavaal matti ka !
![]()
(poet: Zamil)
[RIGHT](written Today 3:28 am)[/RIGHT]
*****My first patriotic piece of poetry.