Ik mataye dil-o-jaan thi jisay khotay huway aye hain
hum teray paas kahin aur se hotay huway aye hain
waqat be waqat kisi khawahish-e-beja k liye
hum wo mazdur hain k duniya hi ko dhotay huway aye hain
kaisay girdaab,teh-e-ishq-e-bala khaiz thay jo
ternay walon ko sahil pe dibotay aye hain
neend aur khawab ki wadi se guzrtay huway
chand taray teri raahon main pirotay aye hain
tum se ye sab ne kaha hum yahan mojud nahi
jaan-e-jaan hum yahan mojud na hotay huway aye hain
kal teri yaad ne wo hijar manaya hai k bas!
zabt-e-giryaa main b daman bhigotay huway aye hain
aisa kaya keh diya main ne, meray yaar SALEEM!
tanz kartay huway,nashtar hi chibhotay huway yae hain
Saleem Kausar