Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milay ga
Ghar choor k mat jao kahin ghar na milay ga
Phir yaad bohat aaye gi zulfoon ki ghani shaam
Jab dhoop saya koi saaya sar per na milay ga
Aansu ko kabhi ooss ka katraa na samjhna
Aaisa tumhain chaahat ka samandar na milay ga
Iss khwaab k mehal main be khwaab hain aankhain
Jab neend bohat aaye gi to bistar na milay ga
**Yeh soch lo abb aakhri saaya hi mohabbat **
Iss dar se utho gay to koi dar na milay ga
being lonely.