**Masrof hain wo din raat unhain waqt kahan hai.
Wo hm se krain bat unhain waqt kahan hai.
Betabi-e-dil ka unhain andaza kahan.
Wo samjhain mera jazbat unhain waqt kahan hai.
Bholay se he wo pochne a jaein mera haal.
Ay gardish-e-halaat unhain waqt kahan hai.
Es dil main sulagty howa sholon ko wo dakhain.
Ay waqt-e-mulaqat unhain waqt kahan.
Moujoon main tarapta hwa main doob raha houn
Thaamen wo mera hath unhein waqt kahan hai.**