Chalo phir dhoondtay hain !
usi masoom bachpan ko !
unhi masoom khushiyon ko !
unhi rangeen lamhon ko !
jahan ghum ka pata na tha !
jahan dukh ki samajh na thi !
jahan sirf muskurahat thi !
baharein hi baharein thi !
ke jab sawan barasta tha !
to us kagaz ki kashti ko
banana or dubo dena
bahut acha sa lagta tha !
aur is duniya ka har chehra
bahut sacha sa lagta tha !
chalo phir dhoondtay hain usi bachpan ko
jahan sabhi apnay or bas apnay they !!!