**Masiha ho !
Tabhi Jazbat ki dharkan ko foran jan laytay ho
kabhi alfaaz ki nabzoon ko
apni narm sansoon se chu kar
bhool jatay ho
kay en lafzoon kay seenay mein bhi
aakhir dil dharaktay hain
suno ! yeh baat kartay hain
tumhain awaz daytay hain
kay jazbay saans laytay hain
to jab tum door jatay ho
jab en ko bhool jatay ho
to dharkan rooth jati hay
yeh saans toot jati hay
yeh nabzain doob jati hain
Masiha ho
to phir in ko
shifa tum keon naheen daytay