Aik dost apny dost ko mashwara detay huay kehta hai:
'Yar agar kabhi bht dukhi ho..to apni shadi ki movie ulti chala k dekh lena bht maza aaye ga, 
Biwi apni ungli se angoothi utaaray gi,
Car se utray gi,
or apnay ghar wapis chali jaye gi’ 
Restored attachments:
Re: ~Mashwara~
hahahahah apki marzi hansna hai to hansein 
KKF
5
Re: ~Mashwara~
merii samajh meN joke aa gayaa is liye maiN muNh phaaR ke haNstaa huN!
lol
lol
Re: ~Mashwara~
apki samajh mein to ana he tha 
KKF
7
Re: ~Mashwara~
abhii video to banne do na pahle! 
Re: ~Mashwara~
hahaha but em sure ap kabhi ulti video nhi chala k dekhen gay ,blkay ap to hr roz dekha kren gay 
KKF
9
Re: ~Mashwara~
aaaaawwww…maiN to nahiiN dekhuuNgaa … mujhe Dar hai k kahiiN VO na dekheN! 
Re: ~Mashwara~
hahahahaah 
yeh b expected hai 
bs dekh bhaal k kijeye ga 
KKF
11
Re: ~Mashwara~
vaise, joke meN ek achchhaa msg chhupaa huaa hai! 
Re: ~Mashwara~
Shadi kren to soch samajh k, wrna being single is my attitude 
KKF
13
Re: ~Mashwara~
baat to pate kii kahii hai…abhii dekhtaa huN k moHtaramah kahaN kis liHaaf ke neeche chhupi baiThii haiN! 
Re: ~Mashwara~
lihaaf k neeche
makhi hai kya 
KKF
15
Re: ~Mashwara~
lol…liHaaf bahot vaDDaa waalaa hai…tamboo [tent] jaisa! 
Re: ~Mashwara~
kahin khud bhi tamboo jaisi he na ho 
Re: ~Mashwara~
han g main ne b yehi farmaya tha 
Re: ~Mashwara~
.
aap jokes farmati hain ? 
Re: ~Mashwara~
han g or ap unki naqal kahin se dhoond latay hain 