Mashwara

Mashwara

Sar-e-taaq-jaaN ye chiraagh-e-dil jo ho chalaa hey dhuwaaN dhuwaan
isey aaj bhi ye gumaan hey ke tu laot aaey ga usi tarhaN
jesey gai rutoN ke bahaao meiN tera qurb mera naseeb tha
jab zindagi ke falak pe thi ik meharbaan si kehkashaaN
jab mohabbatoN ke fishaar meiN tu jaan sey bhi qareeb tha
jab qaol-o-qaraar ke dor meiN hum harf harf azeem they
jab hamaarey leeye be’wafaai ka sochna bhi ajeeb tha

Par maoj-e-dard-e-firaaq bhi dil-e-khush-gumaaN sey na keh saki
ke peymaana-e-ummeed-e-wisaal meiN ye jo hasratoN ki mitthaas hey
aur deeda-e-chashm-o-khayaal meiN jo subak subak si hey aarzu
inhey baargaah-e-hayaat sey gar sharf-e-soorat na mil saka
to ik baar phir sey ilm rahey ke rat’jagoN ke farsh sey
khaaboN ki saari kirchiyaaN palkoN sey chun’ni hoN gi!

So isi leeye hey ye mashwara ke gai rutoN ko bhool ja
aewaan-e-dil ke khandaroN meiN nai koi shamma jalaa
teri nazar meiN qadam qadam ye jo ratgaoN ke nishaan heiN
is chashm-e-nam ki fikr kar — tujhey ab bhi kesey gumaan heiN!
kisi roz tasht-e-hawaa ke sang us mehvish-e-jaaN ko ravaana kar
terey paas ab bhi hey gar koi, uska phool, tohfa ya khat koi

By: Amal

Re: Mashwara

Beautiful like always Amal
btw…itnay ultey mashwray na dya karen kisi ko bholna itna asaan nahi:bummer:
:stuck_out_tongue:

Re: Mashwara

Beautiful Amal....

Re: Mashwara

Wounderful! :-)
Tareef kiya kurni, Amal knows what we think about his poetry.... :)

Re: Mashwara

Wow zabardast Poem Amal ji, thanks for sharing your work:-) by the way iss mashwarey pe aap kab sey amal karnay ja rahey hein:~)

Re: Mashwara

Beautiful… luvd it. aala nazm hai..

aur nikami is rite, bhoolna asaan nahii :bummer:

Re: Mashwara

*gets up and claps

nikami jano - you dont forget you move foward :~)

  • beautiful amal - always look forward to your threads...

Re: Mashwara

Thanx a lot guys for liking this poem. So nice all of you. And also not recalling that this is also an old nazm, already posted on this forum sometime ago ;)

Re: Mashwara

^ lagta hay this time aap kay dar sey log chup rahey hein:p

Re: Mashwara

Nahi…logoN ko is baar pataa hi nahi chala :smiley:

Re: Mashwara

mai bhi kaho kahi parhi hai lakin kidhar ;)
bohat khoob amal :)

Re: Mashwara

:halo: next time elaan kar dein gay phir na kahna:o

Re: Mashwara

hmmm....to taiyaar rahiye, I am still in reverse mood :)

Re: Mashwara

Mashwara

Sar-e-taaq-jaaN ye chiraagh-e-dil jo ho chalaa hey dhuwaaN dhuwaan
isey aaj bhi ye gumaan hey ke tu laot aaey ga usi tarhaN

hay tau.. ummeed par duniyaa qaayim jo hai :slight_smile:

jab hamaarey leeye be’wafaai ka sochna bhi ajeeb tha

haaN! yeh bhee saheeh hai!

Par maoj-e-dard-e-firaaq bhi dil-e-khush-gumaaN sey na keh saki
ke peymaana-e-ummeed-e-wisaal meiN ye jo hasratoN ki mitthaas hey
aur deeda-e-chashm-o-khayaal meiN jo subak subak si hey aarzu
inhey baargaah-e-hayaat sey gar sharf-e-soorat na mil saka
to ik baar phir sey ilm rahey ke rat’jagoN ke farsh sey
khaaboN ki saari kirchiyaaN palkoN sey chun’ni hoN gi!

daraataY kiouN ho bhai :bummer: ???

So isi leeye hey ye mashwara ke gai rutoN ko bhool ja

aap kaa mashwarah sari aaNkhoN par… yaadaiN bhooli naheeN jaateeN, bhulaanaY kaa dramaa kiyaa jaataa hai :slight_smile:

aewaan-e-dil ke khandaroN meiN nai koi shamma jalaa

uss kaa naam Shamma naheeN thaa :teary1:

kisi roz tasht-e-hawaa ke sang us mehvish-e-jaaN ko ravaana kar
**terey paas ab bhi hey gar koi, uska phool, tohfa ya khat koi **

phaaR daalaY, gutter maiN bahaa daalaY:) fiker not :stuck_out_tongue:

Re: Mashwara

acha…to phir kya tha? :konfused:

Re: Mashwara

sub bataa dooN :halo: ?

Re: Mashwara

Achi commentary hey Anwaar :slight_smile: Aur naam kya tha wo bhi bata hi do ab, log itna israar jo kar rahey heiN :slight_smile:

Re: Mashwara

Masah Allah.... Khush rahain

Re: Mashwara

as always beautiful :)

Re: Mashwara

bohat khoob.....aakhri band zabardast hay...acha mushwara hay. mugr dil kabhi mushwary ko mana hay?:) koi nai tazi.....:) :)