***Marti Hui Zameen ko Bachana Para Mujhay
Badal Ki Tarha Dasht Mein Ana Para Mujhay
Wo Ker Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yakeen
Phir Yon Huwa Kay Mar Kar Dikhana Para Mujhay
Bholay Se Meri Simat Koi Daikhta na tha
Cheray pe Aik Zakham Lagana Para Mujhay
Us Ajnabi Se Hath milanay Kay Wastay
Mehfil Mein Sab Se Hath Milana Para Mujahy
Yadain Thi Dafan Aisi, Kay Baad-iz-Farokht Bhi
Us Ghar Ki Daikh bhal Ko Jana Para Mujhay
Us Bewafa ki Yaad Dilata tha Baar Baar
Kul Ainay pe Hath Uthana Para Mujahy
Aisay Bichar Kar to Usnay Mer jana Tha Niaz
Uski Nazar Mein Khud ko Girana para mujahy…!!!***