Ok so if one gets married from Abroad and has a choice of a few guys how would you pick one???
As you don't know them you can't really go by personality so should one go for the best looking.
Btw i know looks are not everthing but as i said it's difficult to pick by personality.
How would you pick one?
First you make a list to what things you give more importance.
and then try to find those things in all and whichever has the most things you like pick him.
For me number 1 is education. Not way higher than me but closer to me. If I'm a doctor I would prefer a doctor and if I'm engineer then I would prefer a engineer. If I'm a BSc then I would prefer a MSC or Phd or Mphil.
Education is the most important thing. It does affect on persons everything.
If you give importance to look then pick the good looking person. Why is liay kaay aap nain roz usko daikhna hai agar pasand naheen to roz aap ko usko daikh kar bayzari ho gi. Na janay kub tuk ki zindagi ka saath ho so looks is 2nd most important thing to me.
Aap kisi ko choose karanay jain gi to aap ko sub say pehlay uska looks nazar aay ga. Wo kahtay hain nain first impression is the last impression agar looks main aap ko achcha lagay ga to zahir aap choose karain gay.
Baqi tamaam cheezain important hai laikin unka kuch pata naheen chal sakta aur na hi pata chalaya ja sakta hai jub tuk aap us kay saath time na guzarain laikin looks to forun nazar ata hai.
For Bonny Sister's information Good looking ko her jagah ahmiaaat detay hain job ki selection main bhi. Mera kafi tajarba hai. Her jagah good looking ko ahmiaat di jaati hai. Good looking is an important factor to count on.
Misaal kay tor par
Jub larki ya larka pasand karnay jatay hain good looking ko sub pasand kartay hain.
Class main ya kaheen bhi good looking ko hi sub dost banana chahtay hain.
Job main bhi good looking ko ahmiaat di jaati hai.
Agar do person hon aur dono aik doosray kay compatible hon to good lookin ko chuna jaay ga.
3sray number pay khandan ki taleem bhi achchi ho to uska bhi persnality pay bohat asar parta hai.
4th aur sub say aham Khandaan achcha ho background say yani pichlay janam say. Agar khandan achcha ho ga to nasal bhi achchi ho gi is kay ilawa husband ki persnality bhi achchi ho gi. Khanaan ka achcha hona bohat hi important hai.
Agar khandaan sub say lar jhagar kar ya kinara kashi kar kay rehnay walay hon ya budmaash aur budtameez hon pichlay janam say yan baap dada say to aisay khandaan main hargiz shadi na karain.
Character larkay aur khandaan ka daikhain wo kaisa hai.
Logon say talluqaat kay maamlay main kaisay hain.
Lain dain kay maamlay main kaisay hain.
Yay sub batain mohallay walon aur rishtaydaron say pata chal jateen hain. Zaroor investigate karain her tarha say.
Khandani sharafat bhi bohat aham.
So jis larkay main ziada say ziada points meri batai huwi aur aap ki Pasand ki list main say mil jain us ko chun lain aur agar aap ko pehli baar daikh kar aur balkay kai baa daikh kar dil main khiaal aay kay yay sahi ho ga us ko chun lain naheen to parents ko chunnay kahain wo ziada samajhdar hoty hain aur bahtar chun saktay hain.
Allah say dua karna na bhoolain kay Allah main to naheen samajh sakti tu hi meri sahi rehnumai kar sakta hai jo meray liaay her lihaaz say bahtar ho.
Jis kay liaay aap ka dil ziada haan kahay us kay liaay istakhara kar lain aur jo istakhara ka jawab aay us pay sakhti say amal karain.